Rahat Fateh Ali Khan - Main Jahaan Rahoon 歌词

Main jahaan rahoon main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai
main jahaan rahoon main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai
kisi se kahoon ke nahi kahoon
ye jo dil ki baat hai

Kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
per chhup ke is dil mein tanhaai palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai
teri yaad saath hai
teri yaad saath hai
main jahaan rahoon main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai

Kahin to dil mein yaadon ki ek sooli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bahut hi dhundhli pad jaati hai
koi nai duniya ke naye rangon mein khush rehta hai
koi sab kuchh paa ke bhi ye man hi man kehta hai
kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
per chhup ke is dil mein tanhaai palti hai
Bas yaad saath hai
teri yaad saath hai
teri yaad saath hai
teri yaad saath hai

Kahin to beete kal ki jade dil mein hi utar jaati hain
kahin jo dhaage toote to malaayein bhikar jaati hain
koi dil mein jagah nayi baaton ke liye rakhta hai
koi apni palkon par yaadon ke diye rakhta hai
kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
per chhup ke is dil mein tanhaai palti hai
这个歌词已经 410 次被阅读了