Arijit Singh - Jeene Bhi De Şarkı Sözleri

Jeene bhi de duniya hume,
ilzaam na laga,
Ek baar toh karte hai sab,
koi haseen khata,
warna koi kaise bhala,
chahe kisiko bepanah,
Aey zindagi tu hi bata,
kyu ishq hai gunaah

khud se hi karke guftgagu,
koi kaise jeeye,
ishq toh lazmi sa hai,
zindagi ke liye,
dil kya kare dil ko agar,
acha lage koi,
jhuta sahi dil ko magar,
sacha lage koi

Jeene bhi de duniya hume,
ilzaam na laga,
Ek baar toh karte hai sab,
koi haseen khata,
warna koi kaise bhala,
chahe kisiko bepanah,
Aey zindagi tu hi bata,
kyu ishq hai gunaah

dil ko bhi udne ke liye,
aasmaan chahiye,
khulti ho jinme khidkiya,
wo makaan chahiye
darwaze se nikle zara,
bahar ko reh guzar,
har mod pe jo saath ho,
aisa ho humsafar

jeene bhi de duniya hume,
ilzaam na laga,
ek baar toh karte hai sab,
koi haseen khata,
warna koi kaise bhala,
chahe kisiko bepanah,
Aey zindagi tu hi bata,
kyu ishq hai gunaah
Bu şarkı sözü 515 kere okundu.